संदेश

अगस्त, 2012 की पोस्ट दिखाई जा रही हैं

Bhaang (Hemp)

चित्र
Bhaang shareer ke toxin ko khatm karta hai|  Bhaang ki patti ko masal kar do-do boond ras kan me daalne par kaan ke dard me rahat hoti hai| Neend nahi aane par 2g bhaang ke powder me 2g sarpgandha ka powder milakar 2g lene par acchi neend aati hai| Sir-dard me do-do boond bhaang ki patti ka ras nak me daalne par rahat hoti hai | Histeria (apasmar) me bhaang ka powder+heeng , matar ke daane barabar lene par faida hota hai | Khasi(cough) - bhaang powder + sauth + peepal, barabar matra me mila kar 2-2g sevan karne se faida hota hai| Sangrahani(bar bar sauch) , bael-giri + bhaang +sauf (aniseed) milakar nuskha taiyaar kren aur rozana 5-5g sevan kren | Bhaang bhukh badhata hai| Bhaang+kali mirch+adrak milakar sevan karne se bhukh badhti hai| Hydrosil- Bhaang ki pattiyan ubaalkar sekaai keren| garam patte hydrosil me bandh de| Mutra Krich - Bhaang+kakdi ke beej ka sharbat| Napunsakta- Bhaang beej pees kar rozana 1-1 tsp le| Arthritis- Bhaang beej ko bhoon kar 1-1...

Flatulence (gas ki takleef)

चित्र
Waat, pitt aur cough(tridosh) ki gadgadi tatha panch mahabhooto ki gadbadi ke karan he rog hote hain|  Bhojan ke pachan me kam se kam sadhe chaar ghante ka samay lagta hai| Isliye bhojan karne ka antraal kam se kam paanch ghante ka hona chahiye| Shareer me anpache bhojan se gas hota hai | Gas mukhyatah nimn prakar ke bhojan lene se hota hai... Waat-vardhak ann jaise chana, baigan(bribjal) , kaddu , rajma ka prayog kam kren| Ek bhojan pachne se pehle dusra bhojan na le| 'Chai' jahan tak sambhav ho chor de ya kam kar de kyuki ek cup chai pachne me 22 ghante ka samay lagta hai| Jyada chai peene se gas hota hai| Gas hone se pet dard hota hai, pet phool jata hai| aajwain ka churn jal ke saath lene par gas me rahat milti hai| Aajwain, baking soda, cheeni milakar pees le| Is churn ko bna kar dabbe me rakh le avam aadha-aadha chammach din me do baar le| Dopahar me chach(mattha) piye| Matthe ko bnane ke liye ek cup dahi me 6 cup paani daale aur a...

Raksha Bandhan

चित्र
Bahot pracheen samay me raksha bhandhan ka tyoihar Shravani ke roop me mnaya jata tha. Shravani ke avsar par vriksha lgane ki parampara thi. Logo ka vishwas tha ki vriksh lgane se dharti ki raksha hogi. Is prakar hum keh sakte hain ki pracheen kaal me bhi log paryavaran ke prati sajag the. Durga Saptsati me bhi kaha gya hai .....                  ""  यावत भूमनडलम धत्ते सशैल वनकाननं ।                      तावत तिष्ठति मेदिन्यां संतततिः पुत्र -पौत्रिकी ।।"" Arthat jab tak is dharti par parvat sahit van aur kanan maujud hai tabtak santati (santaan) - putra aur pautra is dharti par surakshit rahenge. Kalantar me yah raksha bandhan ke tyohaar ke roop me mnaya jaane lga. Hindu dharm-granthon aur purano me yah katha varnit hai ki Raja Bali ke 100 yagya pure hone par Devraj Indra ka singhasan dolne lga. Indra ne vishnu se prarthana ki tab Bhagwan Vishnu Vaman ka roop dharan kar Bali se...