Bhaang (Hemp)



  • Bhaang shareer ke toxin ko khatm karta hai| 
  • Bhaang ki patti ko masal kar do-do boond ras kan me daalne par kaan ke dard me rahat hoti hai|
  • Neend nahi aane par 2g bhaang ke powder me 2g sarpgandha ka powder milakar 2g lene par acchi neend aati hai|
  • Sir-dard me do-do boond bhaang ki patti ka ras nak me daalne par rahat hoti hai |
  • Histeria (apasmar) me bhaang ka powder+heeng , matar ke daane barabar lene par faida hota hai |
  • Khasi(cough) - bhaang powder + sauth + peepal, barabar matra me mila kar 2-2g sevan karne se faida hota hai|
  • Sangrahani(bar bar sauch) , bael-giri + bhaang +sauf (aniseed) milakar nuskha taiyaar kren aur rozana 5-5g sevan kren |


  • Bhaang bhukh badhata hai| Bhaang+kali mirch+adrak milakar sevan karne se bhukh badhti hai|
  • Hydrosil- Bhaang ki pattiyan ubaalkar sekaai keren| garam patte hydrosil me bandh de|
  • Mutra Krich - Bhaang+kakdi ke beej ka sharbat|
  • Napunsakta- Bhaang beej pees kar rozana 1-1 tsp le|
  • Arthritis- Bhaang beej ko bhoon kar 1-1tsp lena hai|
  • Sarson ka tel(500ml) me 10g bhaang beej pees-kar mila de| Waat rog, snayu peeda, muscles pain, akran, ghaw, paka ghaw me faida hota hota hai|  Bhaang ki patti ko ubaal kar paka ghaw dhone se faida hota hai|
  • Khet me karpatwar hone par jaise rajar-ghas, parthenium(congress grass) jo zameen ko banjar bna rhi hai, uske niyantran ke liye khet me bhang ke paudhe lgae| Bhaang ke paudhe in kharpatwaro ko ugne nahi dete hain|

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

ANTIOXIDANT-rich Vegetables

SIR Dard (head ache)

Indigestion(ajeerna)