Raksha Bandhan

Bahot pracheen samay me raksha bhandhan ka tyoihar Shravani ke roop me mnaya jata tha. Shravani ke avsar par vriksha lgane ki parampara thi. Logo ka vishwas tha ki vriksh lgane se dharti ki raksha hogi. Is prakar hum keh sakte hain ki pracheen kaal me bhi log paryavaran ke prati sajag the. Durga Saptsati me bhi kaha gya hai .....

                 ""  यावत भूमनडलम धत्ते सशैल वनकाननं ।                     तावत तिष्ठति मेदिन्यां संतततिः पुत्र -पौत्रिकी ।।""
Arthat jab tak is dharti par parvat sahit van aur kanan maujud hai tabtak santati (santaan) - putra aur pautra is dharti par surakshit rahenge.

Kalantar me yah raksha bandhan ke tyohaar ke roop me mnaya jaane lga. Hindu dharm-granthon aur purano me yah katha varnit hai ki Raja Bali ke 100 yagya pure hone par Devraj Indra ka singhasan dolne lga. Indra ne vishnu se prarthana ki tab Bhagwan Vishnu Vaman ka roop dharan kar Bali se teen pag bhumi manga aur do pag me he teeno lokon ko maap liya . Teesra pag rakhne ke liye Bali ne apna mastak rakha toh Bhagwan Vaman ne Bali ke mastak par pair rakhkar use pataal pahucha diya. Us din Shravan maas ki Purnima tithi thi.


Ek anya pauranik katha ke anusaar devtaaon aur danavon me yudh hua aur devta har kar bhaibheet hokar bahgne lge tab Indrani ne Indra samet sabhi devtaon ko raksha sutra baandh diya. isse devtaon ka aatmvishwaas badha aur unhone danavon par vijay prapt kiya. 


Ek anya katha ke anusaar mugal badshaah Humaayu Chittod par aakraman karne badha, toh Rana Saanga ki vidhwa Rani Karnwati ne Humaayu ko rakhi bhejkar raksha ka vachan diya. Humaayu ne madadh karke rakhi ke vachan ki laaj rakh li. 
Ek anya katha ke anusaar Sikandar ki patni ne Poras ko rakhi bandh kar apna bhai bnaya aur yudh ke samay Sikandar ko na maarne ka vachan diya jise Poras ne nibhaya.


Baad me yah parv Purohit dwara Yajmaan ko raksha sutra bandhne avam badle me dakshina lene ke roop me mnaya jaane lga.


Aajkal yah parv bhai-bahen ke snehh aur prem ka pehchan ban gya. Is parv me bahen bhai ki kalai par rakhi bandhti hai aur uska tilak karti hai. badle me bhai bahen ko uphaar deta hai aur bahen bhai ko kuch meetha khilati hai!


Raksha Bandhan ka mantra:-


येन बद्ध बली राजा दान वेन्द्र महाबल ।तेन त्वां प्रतीबध्नामी रक्षेत माचल माचल ।।

Aaj bhi kuch log vriksh ko rakhi bandhkar uski raksha karne ka prayaas karte hain.

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

ANTIOXIDANT-rich Vegetables

SIR Dard (head ache)

Indigestion(ajeerna)