Gharelu Nuskhe

KOLESTROL
AECH.DI.AEL-HIgh density lippopropane
AEL.DI.AEL- Low density Lippopropane

Ael.Ai.Ael badhne se vakti ka b.p badh jata hai chuki ael.di.ael ka plaque nason me jam jata hai. isse kaalaantar mein hriday rog, artery heart disease badhne ki sambhawana rehti hai. HECH.DI.AEL shareer ke liye kuch faydemand hai parantu AEL.DI.AEL swasthya k liye ghatak hai. AEL.DI.AEL ghatane ke liye---

  • maans-machli ya murge, dudh tatha dudh se bane utpad ko apne aahar me ghata de.
  • tale bhune khane se parheez kare.
  • dhaniya(coriander) pratidin ek chammach khane se pehle gungune paani ke sath sevan kren ya dhaniya powder ka kwath bna kar piyen.
  • alsi (chinka) bhun kar uska powder bna kar ek chammah jur khaen.
  • nimbu-paani ka sevan kren.
  • kacche pyaj ka sevan kren.
  • lehsun ki ek kali ka roojana sevaen kren.
  • ankurit chana, moong aadi ka sevan kren.


BABASIR(PILES)
  • gimikand(aul) ki sabji yadi din mein khana ho toh matthe me pkaen tatha raat me khana h toh ghee me bhune.
  • matthe ka sevan kren.(mattha bnane ke liye ek cup dahi me cheh cup paani milaen)
  • kaddu ke patte ka ras masse par par lgaen.
  • lgataar der tak ek aasan me na baithen.
  • jyada cycle na chalayen.
  • karele ke ras me sindha namak milakar sevan kren.
  • khaane me fibre ki matra badha dein.
  • maide ka prayog kam kren.
  • do sau gram taaje kacche dudh me aadha nimbu nichod kar piyen.
  • gajar ko ubalkar raat bhar oos me chor de. subah sindha namak ke saath sevan kren.
  • gajar ki sabji khaen.
  • muli ke patte ki sabji khaen.
  • mule ke patte ka ras piyen.
  • anaar ke chilke ka kwath piyen.

KREMI(WORM)
  • kacche papite ka ras ek chammach madhu k sath sevan kren.
  • papite ke beej ka powder ek chammach avam madhu ek chammach milakar sevan kren.
  • akhrot ki chal ka kadha(kwath) bnakar piyen.
  • haldi ko tave me bhun kar ek chammach shahad ke sath din me do baar piyen.
  • anaar ke chilke ka kadha piyen.
  • kremi ke karan yadi skin alergy ho, ya twacha me safed daag ho toh haldi aur madhu ka sevan kren.
  • tamatar ka juice. kaali mirch avam sindha namak mila kar sevan kren.

SOOCHNA.....
  1. jinhe goitre ya gengha rog ho jata hai unhe patta gobhi, phul gobhi, sarson ka saag, muli ka saag nahi khana chahiye.
  2. jinhe thyroid hai unhe patta gobhi  nai khana chahiye.
  3. palak tatha jamun khane se smaran shakti me vriddhi hoti hai.
  4. emli ke barabar sevan se pathri hone ki sambhawana bahot ghat jati hai.
  5. jersy gae ke dudh ke sevan se cancen hone ki sambhawna badh jati hai.
  6. gud khane se thakan dur hoti hai tatha pachan shakti badhti hai.
  7. gud me ainasital paya jata hai.

टिप्पणियाँ

बेनामी ने कहा…
safad daag ka gharelu ilaj
Unknown ने कहा…
Safed daag ka ilaj batae
Unknown ने कहा…
Mughe nahi mili maine abhi req bheji hai
बेनामी ने कहा…
mujhe safd dag hi 10 year ki thi jab se aaj tak ilaj or parhej kr chuki hu pr pero ke safed dag ni gae
बेनामी ने कहा…
koi ilaj jo ghr me ho sake btae ple
Ali ने कहा…
★   * ★ ★  *★   * ★ ★  *Dhaniya ke faide Coriander Benefits in Urdu
harish ने कहा…
khana hajam nahi hota assediti jada hoti hai

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

ANTIOXIDANT-rich Vegetables

Indigestion(ajeerna)

SIR Dard (head ache)