सीधे मुख्य सामग्री पर जाएं
SIR Dard (head ache)
Sir Dard nimn karano se hota hai :-
- Sugar level ka badhna ya ghatna.
- Paet ke andar gas ka banna.
- Aankhon ki jyoti me kami hona
.
- Shareer ke andar infection.
Sirdard ke nivaran hetu gharelu nuskhe :-
- Aadha cup nimbu-paani, thora sendha namak mila kar pine se sirdard me fayda hota hai.
- Nimbu ki patti ko chaya me sukha kar powder kar ke subah-shaam aadha aadha chammach jal ke sath le.
- Khaali paet paanch se das kaali mirch chbayein.
- Subah khaali paet dudh ka chhena khaye.
- Agar thand ke karan sir dard hua ho toh dudh aur jalebi khaye.
- Dhaniya ka powder ek chammach, kaali mirch ka powder aadha chammach, aamla ka powder ek chammach milakar garam paani ke sath sevan kare.
- Yadi garmi ke karan sir dard ho toh mehndi ki patti pees kar mathe mein lgaye.
- Mehndi ke phulon ka powder baalon mein lgaye.
- Ghee aur kapoor milakar mathe par lgaye.
- Yadi ardh-kapaari (aadhi shishi) ho toh chakvadh(pawaad/chakramardh) ke beej pees kar mathe par lgaye.
- Sinus ya migraine ke karan yadi sirdard ho toh gajar ki patti saik kar ras nikale tatha subah-shaam char-char bund naak me daale.
- Aloevera ko tod kar mathe par ghsein.
- Anamika anguli(ring finger) ko dbayein.
- Bhang ki patti ka ras naak mein do-do bund daale.
टिप्पणियाँ