Neem........ (azadirachta indica)
"sarvrog hare nimbah"aayurvedic granthon mein neem ke aushadhiya guno ka vistrit varnan kiya gya hai | yah kayi rogo ko door karne mein labhprad hai |
- Neem ke panchang(patti, phool, jad, beej avam chaal) ko churn bna le- ek se do chammach churn mein 1/4 chammach namak mila ke 7 se 15 dino tak subah-shaam garm paani ke sath sevan karne se malaria, bukhar, chechak ya khasra aadi bimariyon se bachav ho jata hai |
- Neem ke 7 se 11 beej kuchal ke subah-sham dudh ke sath 2-3 mahine tak sevan kren ...isse babasir mein labh hota hai |
- Phode-phinsiyon ko door karne ke liye neem ke paani se snan kren | neem ki kshaal, haldi aur chandan ka phode-phunsiyon par leep kren |
- Phunsiyon aur daano ko door karne ke liye neem ke tail ko nariyal ke tail mein milakar lgane se labh hota hai |
- Khaj-khujli ko door karne mein neem ka tail labhprad hai |
- Madhumay ko niyantrit karne mein yah nuskha kargar hai----
neem churn(panchang), haldi, gudmaar, teejpatta ka churn aur jamun ki guthli ka churn saman matra mein peeskar chaan lein | bhojan ke baad 5-10 g ki matra ka sevan kren | is prayog se rakt sarkara niyantrit hone lagta hai | - Daanton mein keeda lagne athwa mawad padne(Peoria) ki shikayat ko door karne ke liye neem ki pattiyan ubaalkar subah-sham kulla kren | neem ka datoon niyamit karne se dant rogon mein rahat milti hai |
- Kamre ko band kar 15-30 min neem ki pattiyon ka dhuwa karne se machhar door ho jate hain |
- Safed dagoon ko door karne ke liye yah nuskha apnaye---
neem ke patte ka ras, tulsi ke patte ka ras aur pyaj ras(prati ek 10ml) ko tambe ki ek shishi mein rakh lein | - Safed daag waale sthan ko neem patra ke kadhe se dho kar ya poach kar yah tail niyamit lgayein | iske alawa ek-ek chammach subah-sham jal ke sath neem churn ka sevan kren |
- Neem ka ras 5-10ml saman matra mein shehad ke sath subah-sham peene se peelia(jaundice) mein labh hota hai |
- Neem ki kshaal 50g matra mein lekar 250ml paani mein pkayein | 50ml paani ke shes(1/5) rehne par ise chhan kar safed jeere ke churn ke sath 5g matra mein subah-sham piyen| is nuskhe se lukoriya mein labh milta hai |
टिप्पणियाँ