BAEL (Aegle marmelos)

Bael ke anya naam:-
Shandilya,Shreefal,Sadafal,Bengal quince,Golden apple.



  • Bael ke gude(pulp) mein Mucilage,Pectic,Glucose,Tannin paye jaate hain jo pachan ke vikaron ko door karte hain.
  • Marmelosin naamak chemical kam matra mein hi virechak(laxative) hota hai. Yah ek udansheel tel hai.



Kacche fal ka prayog:-

  • Agnimandta(weak digestion),jalan,gas,badhazmi aadi ke upchaar mein kiya jaata hai.
  • Bael mein Mucilage itna adhik hota hai ki diarrhoea ke baad yah turant ghaavon ko bhar deta hai.
  • Dysentery ke saath Ulceretive Colitis ke ilaaj mein.
  • 10g bael churna, 125ml paani mein pakakar jab 20g pak kar shesh rah jaaye tab usmein shahad milakar chatane se bacchon ke daant nikalne ki takleef mein rahat milti hai.

For the treatment of 'Irritative Bowells':-

1 chammach shahad mein 5g bael churna milakar do se chaar baar dena chahiye.

For the treatment of 'Piles':-
Kacche bael ka guda(pulp) gud ke saath pakakar ya shahad milakar dene se Raktatisar(bloody diarrhoea) aur Piles mein laabh hota hai.


टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

ANTIOXIDANT-rich Vegetables

SIR Dard (head ache)

Indigestion(ajeerna)