संदेश

मई, 2012 की पोस्ट दिखाई जा रही हैं

Peanut and its uses....

चित्र
Moongfali mein pairodoxin namak B6 vitamin paaya jata hai jo vishesh roop se mastisk avam snauvo(nerves) ke liye labhprad hai | moongfali khane ke turant baad paani nahi peena chahiye qki tailiya pdarth khane ke baad turant paani peene se khansi aane ki aashanka rehti hai | moongfali mein potassium, phosphorus, calcium paya jata hai jo hriday avam mastisk ke sehat ke liye labhprad hai | kacchi moongfali ko raat mein bhingo le, agle din pees le, peesne ke baad chauguni matra mein paani milaye, yah mishran dudh ban jaega; yah paushtik hota hai | is dudh se aap dahi ya paneer bna sakte hain | moongfali ke tail ko jakhm par lgane se ghaw jaldi bharta hai | angkurit moongfali adhik gunkaari hota hai| isme vitamin A, B avam C prachur matra mein paaya jata hai |

Rig Ved mein Lok-Tantra...

चित्र
Bhartiya pracheen granthon mein lok-tantra ka saboot :- sangachadhwam samvadadhwam, sam wo manansi jantaam | deva bhagam yatha poorve, sanjanana upasate || arthat. .. "hum sab sath-sath chale, prempoorvak baatcheet karen , humare man shant bhav se vicharon mein leen ho | jis prakaar humare vidwan poorvaj apne-apne bhag mein aane wali dhan-sampda ko paraspar sahmati aur samta ke aadhar par prasaad ke roop mein grahan kiya karte the, usi prakaar hum hum bhi ek mat hokar apna-apna ansh sharsh swikaar kren |"

Maa....(happy mother's day...:)

चित्र
 maa ko mat tum jaana bhul maa toh hai pooja ki phul kabhi devaki bankar janm wo deti hai balak kabhi yashoda bankar gaurav paati hai palak ghar ki chaukhat par kesh goothti aangan mein jhoola jhulwati khoob khilati khoob ghumati maa ki mamta par hi sabho ko garv hai maa ke charno ke neeche hi swarg hai maa ko mat tum jaana bhul maa toh hai pooja ki phool maa ki baatein mankar dhruv ne paaya hai achal raj sumitra ki baaton mein pakad ram ke sang van gye lakhan laal bratri-prem ka bna adbhut misaal maa ki seva se badhti aayu, bal badhta hai vaibhav vishaal y ash teerti pataka lehraye phir vishwa paral par chamatkaar pracheen ved rigved saar maa ko mat tum jaana bhool maa toh hai pooja ki phool chahe janm dene waali janni chahe palak yashoda stan-paan krane waali ya bhojan dene waali dhayi guru ki patni ho ya est dev ki bharya sauteli maa jesht behan mausi ya bua dadi, bhabhi, mami, jethani sabhi ka darja matri sam

Panchtantra..............................................

चित्र
Panchtantra ke rachiyata pandit Vishu Sharma hain | ''panch'' ka arth hota hai paanch tatha ''tantra'' ka arth hota hai aacharan ya siddhant | Ek janshruti ke anusaar ek raja ke teen murkh putra the | Unhe sudharne ke liye raja ne vishu sharma ko niyukt kiya | Guru ne kalpnik kahaaniyon ka sansaar rachkar is uddeshya ko pura kiya | Sabhi kahaaniyan pashu-pakshi par aadharit hain jinmein 5 tantra- viswaas, vaibhav shrijan, gambhir prayas, maitri aur gyan antarnihit hai | In kahaaniyon se kisi-n-kisi roop mein samaj ke niyamon ko samajhne mein bacchon ko madad milti hai | Bible ke baad pandit Vishnu Sharma dwara rachit Panch tantra he vah granth hai jiska anuwaad vishwa ki sarvadhit bhasha mein hua |

Neem........ (azadirachta indica)

चित्र
                                                  "sarvrog hare nimbah" aayurvedic granthon mein neem ke aushadhiya guno ka vistrit varnan kiya gya hai | yah kayi rogo ko door karne mein labhprad hai | Neem ke panchang(patti, phool, jad, beej avam chaal) ko churn bna le- ek se do chammach churn mein 1/4 chammach namak mila ke 7 se 15 dino tak  subah-shaam garm paani ke sath sevan karne se malaria, bukhar, chechak ya khasra aadi bimariyon se bachav ho jata hai |  Neem ke 7 se 11 beej kuchal ke subah-sham dudh ke sath 2-3 mahine tak sevan kren ...isse babasir mein labh hota hai | Phode-phinsiyon ko door karne ke liye neem ke paani se snan kren | neem ki kshaal, haldi aur chandan ka phode-phunsiyon par leep kren | Phunsiyon aur daano ko door karne ke liye neem ke tail ko nariyal ke tail mein milakar lgane se labh hota hai | Khaj-khujli ko door karne mein neem ka tail labhprad hai | Madhumay ko niyantrit karne mein yah nuskha kargar hai---- neem churn(panchang), hal

AAM (MangO)

चित्र
Aam ki lakdi ke jalane se bacteria nasht hota hai | Aam mein vitamin A tatha C prachur matra mein paya jata hai | Kacche aam ko aag mein pkakar panna (sharbat) bnakar peene se jee michlana kam kota hai aur loo lagne mein labh hota hai | Aam khane se sharirik saundarya bhadhta hai | Aam ke sevan se twacha mulayam hoti hai | Aam mein calcium avam aur magnesium paya jata hai| Aam khane se tanaw kam hota hai | Aam ke sevan se manspeshiyon ki jakran kam hoti hai | Ek chammach aam ke ped ka gond(gum) mein ek chammach paani milakar paste taiyar kar phati adiyon mein lgane se rahat milta hai | Aam ke sevan se twacha ka rang saaf hota hai | Aam ke sevan se sharirik bal badhta hai | Aam ke datun ke prayog se masudhe swastha ho jaate hain | Aam ki guthli peeskar churn bnaye, paani ke sath ek chota chammach raat me sone ke purv lene se paet ke kide nikal jate hain | Aam ke ras mein adrak ka ras milakar peene se hriday rog mein labh pauchta hai | Gut

Benefits of Ginger ( AdraK )

चित्र
Ek masale ke roop me bhartiya rasoee mein adrak ka upyog sadiyon se hota rha hai | adrak ka prayog morabba, paak, aachar ke roop mein kiya jata hai | sauth toh adrak se he taiyaar hota hai | sauth ka upyog garmiyon mein nah karna chahiye, lekin adrak ka prayog santulit matra mein kiya ja sakta hai | aaiye jane vibhinn bimariyon mein adrak kis tarah humare kaam aata hai -----                                     KHANSI adrak aur nimbu ke ras ko shehad ke sath saman matra mein din mein do baar piye | adrak ke ras mein shehad milakar chatne se bhi rahat milti hai |                                         KABJ adrak, azwain aur gud saman matra mein kut le, ise ghee mein bhun kar paani dalkar pkaye | ise niyamit roop se khane se kabj ki shikayat door ho jati hai |                      PAET MEIN JALAN ya DARD apach ke karan paet mein jalan ho tohdo ganne ka ras ek ganth adrak ke sath piye | gas se hone wali gale ki jalan bhi shant ho jaegi |adrak aur pudine ka ras

Aaloo ki kheti (potato bio agriculture)

चित्र
Aaloo ke utpadan mein bihar ke Nalanda zile ke Darbespura gaon ke kisanon ne world record bnaya hai. Netherlands ke 535 quintal/hectare ke mukable unhone 729 quintal/hectare aaloo ka utpadan kiya. Mukhya roop se nimn karya kiye gye :- teen-char baar jotayi(plough). domat mitti. compost. vermi-compost. gobar. lakdi avam uplay ki chhai(rakh). aaloo ki prajati-- pokhraaj avam kufari lgaya gya. ropayi ke liye paudhon se paudhon ki doori 12 cm tatha line se line ki doori 60 cm. aaloo bone ke samay jaivik khad "vaimstar", "enrich" avam "FYM" ka prayag kiya gya. FYM mein gaumutra, sadi gobar, poultry waste daala gya . prati hectare 33metric tonne sada gobar tatha 17quintal poultry waste daale gye. prati hectare 13.5quintal vermi-compost daala gya . Seenchai(irrigation) ke taur-tarike :- Pehli seenchai ropne ke 15din baad. 2 din baad Vaimstar ya Enrich dal kar mitti ki bharai. Master Line, Hot Favourite ya Kel

SIR Dard (head ache)

चित्र
Sir Dard nimn karano se hota hai :- Uccha raktchap. Sugar level ka badhna ya ghatna. Paet ke andar gas ka banna. Aankhon ki jyoti me kami hona . Daant me dard hona. Shareer ke andar infection. Survical pain. Sir ke andar tumor. Sirdard ke nivaran hetu gharelu nuskhe :- Aadha cup nimbu-paani, thora sendha namak mila kar pine se sirdard me fayda hota hai. Nimbu ki patti ko chaya me sukha kar powder kar ke subah-shaam aadha aadha chammach jal ke sath le. Khaali paet paanch se das kaali mirch chbayein. Subah khaali paet dudh ka chhena khaye. Agar thand ke karan sir dard hua ho toh dudh aur jalebi khaye. Dhaniya ka powder ek chammach, kaali mirch ka powder aadha chammach, aamla ka powder  ek chammach milakar garam paani ke sath  sevan kare. Yadi garmi ke karan sir dard ho toh mehndi ki patti pees kar mathe mein lgaye. Mehndi ke phulon ka powder baalon mein lgaye. Ghee aur kapoor milakar mathe par lgaye. Yadi ardh-kapaari (aadhi shi