Benefits of Ginger ( AdraK )


Ek masale ke roop me bhartiya rasoee mein adrak ka upyog sadiyon se hota rha hai | adrak ka prayog morabba, paak, aachar ke roop mein kiya jata hai | sauth toh adrak se he taiyaar hota hai | sauth ka upyog garmiyon mein nah karna chahiye, lekin adrak ka prayog santulit matra mein kiya ja sakta hai | aaiye jane vibhinn bimariyon mein adrak kis tarah humare kaam aata hai -----
                                  KHANSI

adrak aur nimbu ke ras ko shehad ke sath saman matra mein din mein do baar piye | adrak ke ras mein shehad milakar chatne se bhi rahat milti hai | 

                                    KABJadrak, azwain aur gud saman matra mein kut le, ise ghee mein bhun kar paani dalkar pkaye | ise niyamit roop se khane se kabj ki shikayat door ho jati hai |

  1.                     PAET MEIN JALAN ya DARD

apach ke karan paet mein jalan ho tohdo ganne ka ras ek ganth adrak ke sath piye | gas se hone wali gale ki jalan bhi shant ho jaegi |adrak aur pudine ka ras aur sendha namak milakar chai bnaye | 

                                     GETHIYA

adrak ko bareek katein aur shudh ghee mein bhunkar khae | adrak ko til ke tael mein garm karke is tael se jodon ki malish kren | 

                         INFLUENZA ya FLU

adrak aur tulsi ke patte; kali mirch aur longinsab ko milakar chai bnae | teen-char baar aisi chai ka sevan kren | influenza ya flu mein rahat milegi |

                                  MANDAGNIadrak ka ras, nimbu ka ras aur sendha namak ek sath milakar bhojan karne se pehle lene se mandagni door hoti hai | aur khulkar bhookh lagti hai | isse cough, vayu vikar ka bhi shaman hota hai |

                      MASUDHON KI SUJAN

sauth ka churn paani ke sath sevan karne se masudhon ki sujan aur daanton ke dard se chutkara milta hai| 

                                  JWAR

adrak aur pudine ka kadha bnakar piye |yah sheetjwar mein bhi faydemand hai |

                               KAMJORI

sauth, bael ki giri, choti elichi, dalchini aur chuhara barabar matra mein kut kar bareek powder bna le | ise roj subah-sham dudh ke sath le |yah bimari ke baad ki kamjori ko door karta hai |

                                   ULTI

adrak aur pyaz ka ras milakr peene se ulti door ho jati hai|
   

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

ANTIOXIDANT-rich Vegetables

SIR Dard (head ache)

Indigestion(ajeerna)