सीधे मुख्य सामग्री पर जाएं
AAM (MangO)

- Aam ki lakdi ke jalane se bacteria nasht hota hai |
- Aam mein vitamin A tatha C prachur matra mein paya jata hai |
- Kacche aam ko aag mein pkakar panna (sharbat) bnakar peene se jee michlana kam kota hai aur loo lagne mein labh hota hai |
- Aam khane se sharirik saundarya bhadhta hai |
- Aam ke sevan se twacha mulayam hoti hai |
- Aam mein calcium avam aur magnesium paya jata hai|
- Aam khane se tanaw kam hota hai |
- Aam ke sevan se manspeshiyon ki jakran kam hoti hai |
- Ek chammach aam ke ped ka gond(gum) mein ek chammach paani milakar paste taiyar kar phati adiyon mein lgane se rahat milta hai |
- Aam ke sevan se twacha ka rang saaf hota hai |
- Aam ke sevan se sharirik bal badhta hai |
- Aam ke datun ke prayog se masudhe swastha ho jaate hain |
- Aam ki guthli peeskar churn bnaye, paani ke sath ek chota chammach raat me sone ke purv lene se paet ke kide nikal jate hain |
- Aam ke ras mein adrak ka ras milakar peene se hriday rog mein labh pauchta hai |
- Guthli ke giri ka churn 5g subah-sham lene se desentery mein labh hota hai |
- Guthi ke giri ka powder 5g churn namak aur dahi ke sath khane se khuni-pechis(sool) mein labh milta hai |
- Aam ke giri ka powder 5-5g subah-sham paani ke sath lene par Leukoriya mein labh milta hai |
- Aam mein pae jane wala anti-oxidant immune system ko majboot bnata hai |
- Aam mein pae jane wala beta-karotine aankon ke liye faydemand hota hai sath he ye rataundhi ko kam karta hai |
टिप्पणियाँ