Maa....(happy mother's day...:)
maa ko mat tum jaana bhul
maa toh hai pooja ki phul
kabhi devaki bankar janm wo deti hai balak
kabhi yashoda bankar gaurav paati hai palak
ghar ki chaukhat par kesh goothti
aangan mein jhoola jhulwatikhoob khilati khoob ghumati
maa ki mamta par hi sabho ko garv hai
maa ke charno ke neeche hi swarg hai
maa ko mat tum jaana bhul
maa toh hai pooja ki phool
maa ki baatein mankar dhruv ne paaya hai achal raj
sumitra ki baaton mein pakad ram ke sang
van gye lakhan laal
bratri-prem ka bna adbhut misaal
maa ki seva se badhti aayu,bal badhta hai vaibhav vishaal
yash teerti pataka lehrayephir vishwa paral par chamatkaar
pracheen ved rigved saar
maa ko mat tum jaana bhool
maa toh hai pooja ki phool
chahe janm dene waali janni chahe palak yashoda
stan-paan krane waaliya bhojan dene waali dhayi
guru ki patni ho ya est dev ki bharya
sauteli maa jesht behan
mausi ya buadadi, bhabhi, mami, jethani
sabhi ka darja matri saman
isliye toh bharat ki parampra
aur sanskriti hai mahaan
taitriopnishad mein matri devo bhavahka hai jayghosh
isliye toh bharat ki pracheen sanskriti hai shesh
purano mein rishi-muniyo ka hai updesh
aadi peedhe se modern tak matri bhakti ka sandesh hai
aadhyatmik granthon mein geeta ka hai jo mahatwa
sambandhon mein mata kihai wahi mamtwa
gau, ganga, gayatri aur geeta
sabhi pukare dharti mataye sari hai vaishnavi mata
daya ka vriksha, vatsalya ki chayajiski kripa se teri kaya
ghar mein sukh-samriddhi shanti hai chayaisiliye kehlayi jaya
maa ko tum mat jana bhoolmaa toh hai pooja ki phool
oo maa....pyari maa...!!!!ooo maaa.....meri maa...
टिप्पणियाँ