bilb- sreefal, shandilya, sdafal, bael...

Bael ke gude me qucilage, pectic, sakra, tanins, aadi pae jate h jo digestive system ke vikaaron ko door karta hai. marmelocin namak rsayan swalp matra me he virechak hota hai. iska mool rechak sangathan hai. isme ek udansheel tail bhi hota hai. 

kacche fal ka prayog :-


  • agnimandta (acitity and other digestive problems) me labhdayak hai.
  • gas me faydemand hai.
  • badhajmi (idigestion) me labhkaari hai.
  • isme myucilage itna adhik hota hai ki diarrhoea ke baad yeh turant ghaon (injuries) ko bhar deta hai.
  • purani pechis mein labhkari.
  • ulcerative colitis ke rog mein labhdayak.
  • sangrahini(sool) mein kacche bael panch gram churna, ek chammach shahad ke sath do-char baar lene se fayda hota hai.
  • das gram bael churn, 120ml paani mein pka kar shesh 20g mein 5g shahad mila kar bacchon ke daant nikale ke samay dene par takleef se rahat milti hai.
  • khuni babasir(piles) - kacche bael ka guda gud ke sath pkakar ya shahad mila kar sevan karne se raktatisar ya khuni babasir mein labh pauchta hai...
tips for sharpening memory-
  1. pranayam kren.
  2. ankurit anaj ka sevan kren.
  3. taaze fal ka sevan kren.
  4. salaad ka nimit prayog kren.
  5. flaon ka ras piyen.
  6. hari patti wali sabjiyon ka jyada prayog kren.
stress management -

  1. do badaam,do choti elaichi, 5 kaali mirch bareek pees kar thore se shahad ke sath mila kar khane se tanaaw mein rahat miti hai avam isse memory ka bhi vikas hota hai.
  2. pair(legs) ke talwon ki pratidin 5min malish karne se aankhon ki roshniteej hoti hai. 

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

ANTIOXIDANT-rich Vegetables

Indigestion(ajeerna)

SIR Dard (head ache)