Sir Dard nimn karano se hota hai :- Uccha raktchap. Sugar level ka badhna ya ghatna. Paet ke andar gas ka banna. Aankhon ki jyoti me kami hona . Daant me dard hona. Shareer ke andar infection. Survical pain. Sir ke andar tumor. Sirdard ke nivaran hetu gharelu nuskhe :- Aadha cup nimbu-paani, thora sendha namak mila kar pine se sirdard me fayda hota hai. Nimbu ki patti ko chaya me sukha kar powder kar ke subah-shaam aadha aadha chammach jal ke sath le. Khaali paet paanch se das kaali mirch chbayein. Subah khaali paet dudh ka chhena khaye. Agar thand ke karan sir dard hua ho toh dudh aur jalebi khaye. Dhaniya ka powder ek chammach, kaali mirch ka powder aadha chammach, aamla ka powder ek chammach milakar garam paani ke sath sevan kare. Yadi garmi ke karan sir dard ho toh mehndi ki patti pees kar mathe mein lgaye. Mehndi ke phulon ka powder baalon mein lgaye. Ghee aur kapoor milakar mathe par lgaye. Yadi ardh-kapaari (...
SYMPTOMS:- Bhojan na pachna Bhojan na karne ki ichha Shareer mein ghabrahat Chakkar aana Bhook na lagna Khatti dakar aana* CAUSES:- Uchit samay par bhojan na karna Adhik matra mein bhojan karna Bhojan chabakar na khana Oily aur spicy bhojan karna Tea, Coffee aur Tobacco ka adhik sevan Lobh, shoak, moh aur chinta adhik karna TREATMENT:- 3g Ginger+1/2 Lemon**+Salt ka sevan se Khana khane ke baad 1g Black salt ko paani mein milakar peene se Ajwain+Black salt ka khana khane ke baad 1/2 chammach gungune(warm) paani ke saath sevan se Aadha din upwas(fasting) karein Garam paani ke sevan se Raat mein khichdi(indian national food) khane se 1/2 Lemon** kaatkar usmein Rock salt bharkar khane se pehle choosein Chitrakadi vati ka khana khane ke baad garam paani ke saath sevan se 5 Jamun khana khane ke baad chabakr khane se Papaya ke sevan se (*Khatti dakarien khate samay adhik paani peene se hoti hai) (**Lemon ka potassium paet ke acid ko neutralise karta...
टिप्पणियाँ