Holi ke sabandh mein Vichar

Holi hinduon ka ek mahatwapurna tyohaar hai. Yah falgun mas ke shukla paksha purnima ko mnaya jata hai. Is parva ke mnane ke piche bahot sari kahaaniyan , dant kathayen, bodh kathayen prachalit hain . iInme se ek katha HIRANYAKASHYAPU aur PRAHLADH ke katha hai. Hiranyakashyapu ka arth hota hai hiranya ko dekhne wala....Hiranya ka matlb hota hai sona, dhan, sampatti, aadi. Arthat hiranyakashyapu ka purn wyavarik arth hua "ghor bhautiktawadi vyakti". 
                                                                    Hiranyakashyapu ke putra ka naam prahladh tha. Prahladh ka arth hota hai aahladh yukt. is prakar prahladh ka tatwik arth hua aanand yukt, ullaas yukt, bhakti yukt, utsav yukt, saral avam sahaj tatha "jisne apni aawashyakta ko kam kar liya ho". 
                                                                                                             Aaj ki duniya bhaukitwadi hai. Isme arbon hiranyakashyapu magar ginti ke do-char prahladh hain. Ab yah toh swabhawik he hai ki jab ek hiranyakashapu se ek prahladh uttna pratadit hua tatha bhagwan ko nrishing(narsing) avtar lena pda toh aaj arbon hiranyakashpu se gine-chune prahladh ko bachane ke liye kya arbon nrishing avtaar ho pana sambhav hai.................????????? 

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

ANTIOXIDANT-rich Vegetables

SIR Dard (head ache)

Indigestion(ajeerna)