HOLI.....EK MADANOTSAV...!!!!!

Prakriti nitya nutan hai. sdabahar alhadh ,nayika chirantan aur aanandras se paripurna. Iske antahpur mein madhuras aanandras ka mahashrot hai. Bhartiya chintan mein isi shrot naam hai utsa. Utsav isi aanandras ka aatpuran hai.holi vanshotsav ka charam hai.
                          Vatsyayan ke kamsutra (1.4.42) mein yeh ek vasantolaas kreeda parv haI.
  Aarya sanskriti mein vasant janmanas mein ras-rang ka sanchar karta hai.
                                          "kar gyo re fagun kawanmanmani...
                                     chuway lagta mahuwa se rahi rahi paani!"
    
Ved-Puran mein vasant ritu ko madan sakha kaha gya hai. ....

Dharm granthon mein kailash parvat par vasantotsav ka ullekh bar-bar aata hai. Manyata hai ki mahadeo ne rati ke anunay-vinay par bhasmi bhoot 'kamdeo' ko vasant panchmi ke din jeevant kiya tha. Vasant Panchmi ka mahatwa deshkalaatit hai, kyuki isi din 'maa saraswati' ka aavirbhav diwas bhi hai.....

Kinshuk ke liye shuk intezar mein hai. Kinshuk ke anek naam hai yatha Bengal mein 'kinak', karnatak mein 'brahmavriksha ya mutuga', gujrat mein 'kakarya', Maharashtra mein 'kaakraya',  Punjab mein 'chachra', Tamil Nadu mein 'kuttumukhaku', Orissa mein 'kinju', Bihar mein 'dhak' tatha Jharkhand mein 'palash' kaha jata hai.


                                             "Dheere dheere utar xitij se aa basant rajni..
                                                     bin palash kaisi hogi basant sajni?"

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

ANTIOXIDANT-rich Vegetables

SIR Dard (head ache)

Indigestion(ajeerna)